Better focus in life
Hammad Khalid
(Mechanical Engineer from Sir Syed University Pakistan)
Sir apart from teacher meri life me jo changes aye wo ye hain k me positive personality thora bana hoon or inshallah or positive personality me ban jao ga
bohat sari meri thinking thi jo negative thin wo change karnay me apne meri kafi help ki mostly ap alhamdulillah ye mujhe sabse zayada acha lagta hai k na sirf mera dekhtay hain bal k meri family ka bhi dekhtay hain or ye mujhay sab se achi baat lagti hai
Ap mere personal or degar mamlaat me bhi help kartay hain matlab agay barh k jis tarah apne help ki hai koi nai karta like ap right infront meri side me kharay hain jo main issues face kar raha hoon life me
ek bohat achi support mujhay mili hai apki taraf se or dusri baat ye k ap available hotay hain mei apse koi bhi issue ho share kar sakta hoon.
Mei kabhi bhi apse baat kar sakta hoon kisi bhi issue se related. me ye feel karta hoon or us me mujhe ek acha hal mil jata hai ek achi advice mil jati hai to mujhay pata hai INSHALLAH apki guidence se me bohat acha ho jao ga or cheezon ko bohat acha manage kar lunga.
Jazakallah for your support sir
Turning towards Islamic values
Rayyan Ali
(Doing BS in Computer Science from FAST University Karachi)
Sir jo 2 key cheezain apse mei ne seekhi hain pehli to ye k agar kisi bhi skill ko master karna hai to usk liye discipline zarori hai
ab chahay wo programing language ho, physics ho, math ho, ya phir Islam bhi ho.
To in sab ko master karnay k liye apko jo sab se important cheez jo chahiye wo discipline hai.
Or dusri cheez me ne jo seekhi hai wo galat or sahi ka farq
ab ye manna k mei galat hoon or me galat direction me hoon ye apka first step hai sedhi direction me janay k liye
ye cheezain me ne apse seekhin hain
Balanced life
Syed Talha Ahmed
Doing BS in Computer Science from UBIT Karachi)
Sir ek to jabse apse parhna start kia apki personality calm and compose personality hai.
Apki speaking or samjhanay ka tareeqa bohat acha hai. Phir asal teacher sirf ye nai k sirf dunyawi, deeni aitebar se bhi student ka character development karnay k liye jo apne apnay students ko connect apnay mentor say connect kiya hai wo best hai.
Abhi mere life main apki hi personality aisi hai jin k sath bethna ka maza ata hai. Or ek ek second se kutch na kutch seekhnay ko milta hai not only dunyawi prospective se but deen, characters, relations, finances overall har cheez mei.
Overall ap k sath bethnay me maza ata hai. Mei apne dosto ko bhi apse milaya to wo bhi bohat khush huay sab ka bohat hi positive feedback tha.
No words to express my gratitude
Mustafa Shuja
(Doing ACCA from Karachi)
Sir mere paas tou alfaaz hi nahin hain kya kya bataun ap ko.
Allah ap ko khush dunya aur akhirat ki bhalaye dain. Ameen